Manzilen Apni Jagah Hain Raaste Apni Jagah




Kuch dialog ho jaye 

Deepak Parashar - Kyo Viki babu,  aaj is khushi ke mauke par kuch ho jaye

Amitabh - bhai inspector ek.... tute huve dil se khushi ka raag to nikal nahi sakta....lekin abhi tumne manjil par pahuchne ki baat ki to usse kuch yaad aaya hamein.... vo.... suna deta hoon.



Manzilo Pe Aake Lootate Hai Dilon Ke Caaravaan

Kashtiya Saahil Pe Aksar Doobati Hai Pyar Ki

 

Manzile Apni Jagah Hai Raste Apni Jagah

Manzile Apni Jagah Hai Raate Apni Jagah

Jab Kadam Hi Saath Na De Toh Musaafir Kya Kare

Youn To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Mera

Youn To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Mera

Badh Ke Koyi Haath Na De Dil Bhala Fir Kya Kare

Manzile Apni Jagah Hai Raste Apni Jagah

 

Doobne Wale Ko Tinke Kaa Sahaara Hi Bahot

Dil Bahal Jaye Fakat Itna Ishaara Hi Bahot

Itne Par Bhi Aasman Wala Gira De Bijaliya

Koi Batla De Zara Yeh Doobta Fir Kyaa Kare

Manzile Apni Jagah Hai Raste Apni Jagah

 

Pyar Karna Jurm Hai To Jurm Hum Se Ho Gayaa

Kaabil-E-Maafi Huaa Karte Nahin Aise Gunah

Sangdil Hai Yeh Jahaan Aur Sangdil Mera Sanam

Kyaa Kare Josh-E-Junoon Aur Hausla Fir Kya Kare 

Manzile Apni Jagah Hai Raste Apni Jagah

 

Jab Kadam Hi Saath Na De Toh Musaafir Kya Kare

Youn To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Mera

Badh Ke Koyi Hath Na De Dil Bhala Fir Kya Kare

Manzile Apni Jagah Hai Raste Apni Jagah


Post a Comment

0 Comments

Close Menu