Inteha Ho Gayi Intezaar Ki


Kuch dialog ho jaye 

Amitabh 

Nathulalji battiya bujwaiye.


Ye sab aapki vajah se hua hain Munshiji

Bedagard kar diya aapne hamara


Aapke radif kafiye ne hamara kafiya tang kar diya

Aurat jab tak zindagi mein na aaye, mard ki baat mein vazan paida nahi hota

yehi kaha karte the na aap, ab dekhiye, baat mein vazan paida karte karte hamara vazan kam ho gaya.

acche khase sharif insaan ko marva diya aapne

isse pahile kabhei hamein kisi ka intezar karte hue dekha hain aapne


ye to aeisa lag raha ki jab se hum paida hua yahan baithe kisi ka intezaar kar rahe hai

Ye Ye mombatti buzne se pahile vo nahi aayi...khmm khmm 

to hamein mombattiyon se hamesha ke liye nafrat ho jayegi


Om Prakash -

Vo aaegi bete zaroor aaegi, mera di kahta hai, ki chhahe qayamat aa jaye, magar vo aaegi


Amitabh 

aaegi aaegi, chaliye aap kahte to maan lete hai. 

Lekin Munshiji ek baat kahe...vo aaegi


(Lyrics colors - Female, Male, Both)

Inteha ho gayi intezaar ki

Aayi na kuchh khabar mere yaar ki

Yeh hamein hai yakeen

Bewafaa woh nahin

Phir wajah kya hui intezaar ki

Inteha ho gayi intezaar ki

Aayi na kuchh khabar mere yaar ki

Yeh hamein hai yakeen

bewafaa woh nahin

phir wajah kya hui intezaar ki

 

Baat jo hai uss mein baat

woh yahaan kahin nahin kissi mein

Woh hai meri bas hai

meri shor hai yahi gali gali mein

Saath saath hai woh mere gham mein

meri har khushi mein

Zindagi mein woh nahin toh

kuchh nahin hai meri zindagi mein

Bujh na jaaye yeh shama aitbaar ki

 

Inteha ho gayi intezaar ki

Aayi na kuchh khabar mere yaar ki

Yeh hamein hai yakeen

Bewafaa woh nahin

Phir wajah kya hui intezaar ki

 

Ho oooo mere sajana lo main aa gayi

Ho oooo mere sajana lo main aa gayi

O Logon ne toh diye honge

Bade bade nazaraane

Layi hoon main tere liye dil mera

Dil yahi maange dua

Hum kabhi ho na judaa

Mera hai mera hi rahe dil tera

Yeh meri zindagi hai teri

Yeh meri zindagi hai teri

Tu mera sapana

Main tujhe paa gayi

O mere sajana lo main aa gayi

 

Gham ke andhere dhale

Bujhte sitaaren jale 

Dekha tujhe toh dilon mein jaan aayi

Honton pe taraane jage 

Armaan deewane jage

Baahon mein aake

Tu aise sharmaayi

Chaa gayi phir wohi bekhudi

Chaa gayi phir wohi bekhudi

 

La lala la....la lala la la la

Post a Comment

0 Comments

Close Menu